Kaaba-e-dil gira he deiN shayed
Hosh ko kaj kulaahi deiN shaayed
Habs meiN rooh bain karti hay
Qisaa-e-gham sunaa he deiN shaayed
Paak daaman hay ab talak ulfat
Ishq tujh ko duaa he deiN shaayed
Ham shakebaa huey haiN bikhrey nahiN
Fitnaa gar ko sujhaa he deiN shaayed
Ham wafaa kesh to huey ruswaa
Saaf un ko bachaa he deiN shaayed
Naqsh bantaa nahiN hawaaoN par
Ab kay tum ko bhulaa he deiN shaayed
Ranj say aashnaa huey to haiN
Ab yeh aankheiN bahaa he deiN shaayed
Mauj dar mauj ham sadaff tamsaal
Gham ka maazass lutaa he deiN shaayed
Yaar dastey heiN aasteenoN meiN
Yeh dukaaN bhi barrhaa he deiN shaayed
Woh pari wish daroon-e-shab kiya heiN
Shabb gazeeda bataa he deiN shaayed
Kon haaiel hay noor ki raah meiN
MarmareeN zill gawaahi deiN shaayed
Younhi kaliyoN say raah-o-rasm hui
Woh fasaana bana he deiN shaayed
Kis kay haathoN hua lahoo mera
Raaz yeh bhi uthaa he deiN shaayed
Ishq laahaq tha daar kheinchay gaey
Baam-e-ghairat sajaa he deiN shaayed
Raah meiN gheir kar suleh ka piyaam
Yeh safaarat jalaa he deiN shaayed
Kis kay haathoN mein dor kis ki hay
Ham yeh parday giraa he deiN shaayed
Jabar hadd say barhey to muskaa deiN
Maujzey bhi dikhaa he deiN shaayed
Hijr kay bay charaagh lamhoN meiN
Gham ki palkein lajaa he deiN shaayed
Dil ki aankhoN say khoon tapkay gaa
Yeh samandar bahaa he deiN shaayed
jis haqaarat say naama bar nay diya
Khat kay purzay uraa he deiN shaayed
Kis kay dast-e-hinaa say nikley haiN
Ham ko pathar bataa he deiN shaayed
Lot aaney ki baat naa mumkin
Ghaao phir say khujaa he deiN shaayed
Jo giraaney lagey haiN nazroN say
Un ko sheeshaa dikhaa he deiN shaayed
Kaanch say mehar ki tawaqa abass
Lazat-e-gham barhaa he deiN shaayed
Waar khaa kar bhi zaraf wesaa hay
Jaam phir bhi pilaa he deiN shaayed
Ham nay pooja tha bandagee ki thee
Chott khaa kar duaa he deiN shaayed
SandaleeN baazoo'oN kay haaley meiN
DharkanoN ko sazaa he deiN shaayed
Yeh bhi imkaaN hay khud farebi meiN
Ham kabhi muskraa he deiN shaayed
Ab to khud par bhi aitebaar nahiN
Jall rahey haiN ziyaa he deiN shaayed
Dooriyaan ehtamaal-e-sheevan ko
Zabt karna sikhaa he deiN shaayed
Thar thraatey laboN ki hasrat ko
Harf aalam panaahi deiN shaayed
Karb shaaki hay naa rasaai say
RatjagoN ko jazaa he deiN shaayed
Door reh kay bhi khush dikhaai dein
Gham ko aadat banaa he deiN shaayed
Un ko shak hay meri tabaahi par
Jo bachaa hay lutaa he deiN shaayed
Shaadi-e-marg say guzarna kiya
Daagh dil kay chupaa he deiN shaayed
Bhooli raahon meiN naqsh-e-paa kay suraagh
RahzanoN ko nidaa he deiN shaayed
Karblaa socheiN phir lahoo ro kar
Al-atash ki sadaa he deiN shaayed
Rozan-e-hosh teergi ki qasam
Khaab saarey jalaa he deiN shaayed
Sar pay muddat hui uthaaya hay
Aasmaan ko giraa he deiN shaayed
Khof ki baanjh khaaknaaon meiN
Koi basti basaa he deiN shaayed
Raqs-e-bismal hay har ghari jeevan
Khud ko jeena bhulaa he deiN shaayed
Hijr khindaan faseel-e-hasti pay
Deep saarey bujhaa he deiN shaayed
MekashoN ka salaam aaya hay
Yeh maseehaa shifaa he deiN shaayed
Phir wohi daam phir wohi panchi
Rog shaair banaa he deiN shaayed
Ham Musafir, malang, mastaaney
Haqq ka na'araa lagaa he deiN shaayed
Written by T@nh@ Mus@fir

0 Comments:
Post a Comment
Links to this post:
Create a Link
<< Home